Chhupaaya

演唱:Keshuv Huria
Khamakhaa aati muskaano ko
Poori raat jaagi meri aankhon ko
Bewajah mere khayaalon ko
Tere paas laate in iraadon ko
Chhupaaya hai sabse ye chhupaaya
Chhupaaya hai tujhse bhi chhupaaya
Chhupaaya chhupaaya
Teri hichkiyon ki wajaahon ko
Tere sang chalti nigahon ko
Bewajah meri sadaaon ko
Tere liye nikli meri aanhon ko
Chhupaaya hai khud mein hi basaaya
Chhupaaya kisi ko bhi nahi bataaya
Chhupaaya Chhupaaya
Aasaan tha kehna par kahaa nahi
Mumkin tha milna par milaa nahi
Guzari kitni shaamein teri raah takkte
Tere ghar ke neeche uss aangan mein
Kuch aise maine ishq hai nibhayaa
Chhupaaya isey tujhse bhi Chhupaaya
Chhupaaya Chhupaaya
Mez pe khured likhe naamo ko
Bewajah mere inn jazbaaton ko
Tere liye maangi hui sab duaaon ko
Chhupaaya inhe kab se hai Chhupaaya
Chupaaya isey khud se bhi chupaaya
Chhupaaya Chhupaaya

你可能喜欢